Shayari
sabr karti hi rahi be-chaargi
zulm hotaa hi rahaa mazlum par
har nafas minnat-kash-e-aalaam hai
zindagi shaayad isi kaa naam hai
ہر نفس منت کش آلام ہے
زندگی شاید اسی کا نام ہے
हर नफ़स मिन्नत-कश-ए-आलाम है
ज़िंदगी शायद इसी का नाम है

sabr karti hi rahi be-chaargi
zulm hotaa hi rahaa mazlum par
ai ajal kuchh zindagi kaa haq bhi hai
zindagi teri amaanat hi sahi
jabr sahtaa huun magar kab tak sahun insaan huun
sabr kartaa huun magar dil sabr ke qaabil nahin
didani hai ab shikast-e-zabt ki be-chaargi
muskuraataa huun magar dil dard se labrez hai
zindagi hai chashm-e-ibrat mein abhi
kuchh nahin to aish-o-ishrat hi sahi
aah ab khuddaari-e-akbar kahaan
ho gai vo bhi ghulaam-e-aarzu
kam-umri mein sunet hain
mar jaate hain achchhe log
bas ek pal ki tamannaa-e-vasl ki khaatir
tamaam 'umr lagaa di gai sanvarne mein
main tujh se saath bhi to umar bhar kaa chaahtaa thaa
so ab tujh se gilaa bhi umar bhar kaa ho gayaa hai
zindagi tu bhi hamein vaise hi ik roz guzaar
jis tarah ham tujhe barson se guzaare hue hain
balaa-e-jaan thi jo bazm-e-tamaashaa chhoD di main ne
khushaa ai zindagi khvaabon ki duniyaa chhoD di main ne
umr-bhar maan ki nasihat pe zamaane mein 'asad'
faatima-zehraa ke bachchon se vafaadaari ki