Shayari
us se puchhe koi chaahat ke maze
jis ne chaahaa aur jo chaahaa gayaa
yaad-e-maazi 'azaab hai yaa-rab
chhin le mujh se haafiza meraa
یاد ماضی عذاب ہے یارب
چھین لے مجھ سے حافظہ میرا
याद-ए-माज़ी 'अज़ाब है या-रब
छीन ले मुझ से हाफ़िज़ा मेरा

us se puchhe koi chaahat ke maze
jis ne chaahaa aur jo chaahaa gayaa
samajhtaa huun main sab kuchh sirf samjhaanaa nahin aataa
taDaptaa huun magar auron ko taDpaanaa nahin aataa
ai soz-e-jaan-gudaaz abhi main javaan huun
ai dard-e-laa-ilaaj ye umr-e-shabaab hai
yaaron ke ikhlaas se pahle dil kaa mire ye haal na thaa
ab vo chaknaachur paDaa hai jis shishe mein baal na thaa
rang o bu mein Duube rahte the havaas
haae kyaa shai thi bahaar-e-aarzu
ragon mein dauDti hain bijliyaan lahu ke evaz
shabaab kahte hain jis chiiz ko qayaamat hai
jab ki pahlu se yaar uThtaa hai
dard be-ikhtiyaar uThtaa hai
barseingi aaj rahmatein aamad hai yaar ki
naayaab hain ye ghaDiyaan tire intizaar ki
yaar bhi raah ki divaar samajhte hain mujhe
main samajhtaa thaa mire yaar samajhte hain mujhe
'ishq ki koi kasak hai yaa karam urdu kaa hai
bahr mein Dhaltaa hai yaaron khud-ba-khud meraa kalaam
ye kyaa bad-mazaaqi hai gard jhaaDte kyuun ho
is makaan-e-khasta mein yaar ham bhi rahte hain
dushmani peD par nahin ugti
ye samar dosti se miltaa hai