Shayari
shahr khaali hai kise eid mubaarak kahiye
chal diye chhoD ke makka bhi madina vaale
ye kaaenaat mire saamne hai misl-e-bisaat
kahin junun mein ulaT duun na is jahaan ko main
یہ کائنات مرے سامنے ہے مثل بساط
کہیں جنوں میں الٹ دوں نہ اس جہان کو میں
ये काएनात मिरे सामने है मिस्ल-ए-बिसात
कहीं जुनूँ में उलट दूँ न इस जहान को मैं

mujid jo nuur kaa hai vo meraa charaagh hai
parvaana huun main anjuman-e-kaaenaat kaa
dariyaa ne bhi bhaag-bhari ki gaagar itni bhar di hai
ab gaagar ke honT bhigote jaate hain pagDanDi ko
muddaton baa'd pashemaan huaa dariyaa ham se
muddaton baa'd hamein pyaas chhupaani aai
pyaas dariyaa ki nigaahon se chhupaa rakkhi hai
ek baadal se baDi aas lagaa rakkhi hai
meri fitrat hi mein shaamil hai mohabbat karnaa
aur fitrat kabhi tabdil nahin ho sakti
taarikh-e-kaaenaat-e-ibaadat junun se hai
unvaan-e-aql-o-hosh hai divaangi ki baat