Shayari
khush-nasibi hai tumhaari sar pe hai jo maan kaa haath
ham yatimon ko pata hai ye du'aa kyaa chiiz hai
sab yaar sochte the rahegaa vahi samaan
ik main hi bas bachaa huun koi sau pachaas mein
سب یار سوچتے تھے رہے گا وہی سماں
اک میں ہی بس بچا ہوں کوئی سو پچاس میں
सब यार सोचते थे रहेगा वही समाँ
इक मैं ही बस बचा हूँ कोई सौ पचास में

khush-nasibi hai tumhaari sar pe hai jo maan kaa haath
ham yatimon ko pata hai ye du'aa kyaa chiiz hai
shab-e-gham ki yuun bhi main kartaa huun 'izzat
ye shab 'umr mein mujh se kaafi baDi hai
kuchh der to Dare tiri jaadugari se ham
phir dekhne lage tujhe sanjidgi se ham
us ne rakkhaa thaa haath saahil par
tab se dariyaa mein bhi sharaare hain
main ne dafnaae vaaldain apne
mujh se puchho ki hausla kyaa hai
saath jab chhoD gae meraa tum ai kuza-gar
khud ko majburi mein phir khud hi taraashaa main ne
jinhein ye fikr nahin sar rahe rahe na rahe
vo sach hi kahte hain jab bolne pe aate hain
vo na aaegaa hamein maalum thaa is shaam bhi
intizaar us kaa magar kuchh soch kar karte rahe
sochtaa huun ki tujh ko mujh se koi
haadisa hi bachaa ke le jaae
dekhtaa huun tu nahin rahm ke qaabil koi
sochtaa huun to hazaaron taras aataa hai
vaqt badlaa soch badli baat badli
ham se bachche kah rahe hain ham nae hain
itnaa soch lo sach ki raah pe chalne se pahle
is ke to har ek qadam par khaDDaa hotaa hai