Shayari
main ye aankhein bhi tiri nazr to kar duun lekin
teri tasvir inhein dekhti rahti hai bahut
jab tiraa qaamat-e-shoala-numaa pahunchaa sar-e-bazm
saare hi shaikh khaDe ho gae imaan-ba-kaf
جب ترا قامت شعلہ نما پہنچا سر بزم
سارے ہی شیخ کھڑے ہو گئے ایمان بکف
जब तिरा क़ामत-ए-शो'ला-नुमा पहुँचा सर-ए-बज़्म
सारे ही शैख़ खड़े हो गए ईमान-ब-कफ़

main ye aankhein bhi tiri nazr to kar duun lekin
teri tasvir inhein dekhti rahti hai bahut
tamaam shahr gale lag gayaa to kyaa haasil
vo ham ko munh jo lagaae to eid ho jaae
zhaala-baari se khauf aataa hai
un ki aamad kahin na Tal jaae
tum se kahaa thaa baam pe mat jaanaa aaj shaam
dekhaa naan saare shahr ki to eid ho gai
main jab jab bhi kisi kaaghaz pe teraa naam likhtaa huun
chamak tahrir se aur mahak kaaghaz se aati hai
sar-ba-kaf khud hi main maqtal mein chalaa aaya huun
log kahte hain ki vo shokh hai shamshir-ba-kaf
ret par ik nishaan hai shaayad
ye hamaaraa makaan hai shaayad
shaahraahein dafatan shoale ugalne lag gaiin
ghar ki jaanib chal paDaa hai shahr gheraa kar tamaam
ghulaami mein na kaam aati hain shamshirein na tadbirein
jo ho zauq-e-yaqin paidaa to kaT jaati hain zanjirein
vo na aaegaa hamein maalum thaa is shaam bhi
intizaar us kaa magar kuchh soch kar karte rahe
gham hai na ab khushi hai na ummid hai na yaas
sab se najaat paae zamaane guzar gae
pyaaso raho na dasht mein baarish ke muntazir
maaro zamin pe paanv ki paani nikal paDe