Shayari
sukut-e-shab mein dar-e-dil pe ek dastak thi
bikhar gai tiri yaadon ki kahkashaan mujh se
subh tak main sochtaa huun shaam se
ji rahaa hai kaun mere naam se
صبح تک میں سوچتا ہوں شام سے
جی رہا ہے کون میرے نام سے
सुब्ह तक मैं सोचता हूँ शाम से
जी रहा है कौन मेरे नाम से

sukut-e-shab mein dar-e-dil pe ek dastak thi
bikhar gai tiri yaadon ki kahkashaan mujh se
honaa paDaa hai khugar-e-gham bhi khushi ki khair
vo mujh pe mehrbaan hain magar be-rukhi ke saath
apne hamraah khud chalaa karnaa
kaun aaegaa mat rukaa karnaa
muztarib hain maujein kyuun uTh rahe hain tufaan kyuun
kyaa kisi safine ko aarzu-e-saahil hai
giraa diyaa hai to saahil pe intizaar na kar
agar vo Duub gayaa hai to duur niklegaa
main ne kyuun tark-e-taalluq ki jasaarat ki hai
tum agar ghaur karoge to pashimaan hoge
jinhein ye fikr nahin sar rahe rahe na rahe
vo sach hi kahte hain jab bolne pe aate hain
vo na aaegaa hamein maalum thaa is shaam bhi
intizaar us kaa magar kuchh soch kar karte rahe
jab se is dasht mein aayaa huun isi soch mein huun
ki bayaabaan mein kyaa soch kar aataa hai koi
madrasa meraa meri zaat mein hai
khud moallim huun khud kitaab huun main
tu ne kab ishq mein achchhaa buraa sochaa 'sarvar'
kaise mumkin hai ki teraa buraa anjaam na ho
main ne ye soch ki nimTaa liye apne jhagDe
aur uljheinge agar aa gae suljhaane log