Shayari
kamaal-e-husn hai husn-e-kamaal se baahar
azal kaa rang hai jaise misaal se baahar
har samundar kaa ek saahil hai
hijr ki raat kaa kinaaraa nahin
ہر سمندر کا ایک ساحل ہے
ہجر کی رات کا کنارا نہیں
हर समुंदर का एक साहिल है
हिज्र की रात का किनारा नहीं

kamaal-e-husn hai husn-e-kamaal se baahar
azal kaa rang hai jaise misaal se baahar
tiir aayaa thaa jidhar ye mire shahr ke log
kitne saadaa hain ki marham bhi vahin dekhte hain
vo saamne hai phir bhi dikhaai na de sake
mere aur us ke beach ye divaar kaun hai
jis taraf tu hai udhar hongi sabhi ki nazrein
iid ke chaand kaa didaar bahaana hi sahi
tumhi ne kaun si achchhaai ki hai
chalo maanaa ki main achchhaa nahin thaa
be-samar peDon ko chumeinge sabaa ke sabz lab
dekh lenaa ye khizaan be-dast-o-paa rah jaaegi
jhaankte raat ke garebaan se
ham ne sau aaftaab dekhe hain
shor din ko nahin sone detaa
shab ko sannaaTaa jagaa detaa hai
raushni ho rahi hai kuchh mahsus
kyaa shab aakhir tamaam ko pahunchi
itni siyaah-raat mein itni si raushni
ye chaand vo nahin miraa mahtaab aur hai
ai soz-e-jaan-gudaaz abhi main javaan huun
ai dard-e-laa-ilaaj ye umr-e-shabaab hai
aisi duniyaa mein kab tak guzaaraa karein tum hi kah do ki kaise gavaaraa karein
raat mujh se miri bebasi ne kahaa bebasi ke liye ek taaza ghazal