Shayari
jaise dimak-zada koi lakDi
yuun tiraa hijr khaae jaataa hai
A
Anam Shahzadimain samajhti huun jise yaum-e-vilaadat apnaa
dar-haqiqat vo miri maut kaa pahlaa din thaa
میں سمجھتی ہوں جسے یوم ولادت اپنا
در حقیقت وہ مری موت کا پہلا دن تھا
मैं समझती हूँ जिसे यौम-ए-विलादत अपना
दर-हक़ीक़त वो मिरी मौत का पहला दिन था
jaise dimak-zada koi lakDi
yuun tiraa hijr khaae jaataa hai
mire dil mein december jam gayaa hai
pighal kar saal bhar bahtaa rahegaa
kyaa musibat hai zindagi yaani
mujh ko jiinaa paDegaa marne tak
kuDe-daanon mein laash ki surat
main ne dekhe hain pyaar ke tohfe
jo alag ho gayaa thaa jhurmuT se
us parinde ki khair ho maulaa
teri yaadon ki baandh kar gaThDi
main bahut duur pheink aai huun
bichhaDnaa bhi tumhaaraa jite-ji ki maut hai goyaa
use kyaa khaak lutf-e-zindagi jis se judaa tum ho
allaah re zauq-e-dasht-navardi ki baad-e-marg
hilte hain khud-ba-khud mire andar kafan ke paanv
kisi ke ek ishaare mein kis ko kyaa na milaa
bashar ko ziist mili maut ko bahaana milaa
udaas aankhon se aansu nahin nikalte hain
ye motiyon ki tarah sipiyon mein palte hain
jiinaa taDap taDap kar marnaa sisak sisak kar
fariyaad ek ji hai kyaa kyaa kharaabiyon mein
umr-bhar jis ke liye aankhein rahi hain farsh-e-raah
vo ajal kaa qaasid-e-farkhanda-gaam aa hi gayaa