Shayari
shama ik mom ke paikar ke sivaa kuchh bhi na thi
aag jab tan mein lagaai hai to jaan aai hai
har ik surat pe dhokaa khaa rahi hain teri surat kaa
abhi aataa nahin nazron ko taa-hadd-e-nazar jaanaa
ہر اک صورت پہ دھوکا کھا رہی ہیں تیری صورت کا
ابھی آتا نہیں نظروں کو تاحد نظر جانا
हर इक सूरत पे धोका खा रही हैं तेरी सूरत का
अभी आता नहीं नज़रों को ता-हद्द-ए-नज़र जाना

shama ik mom ke paikar ke sivaa kuchh bhi na thi
aag jab tan mein lagaai hai to jaan aai hai
ishq mein vo bhi ek vaqt hai jab
be-gunaahi gunaah hai pyaare
main faqat insaan huun hindu musalmaan kuchh nahin
mere dil ke dard mein tafriq-e-imaan kuchh nahin
kahne ko lafz do hain ummid aur hasrat
in mein nihaan magar ik duniyaa ki daastaan hai
us ik nazar ke bazm mein qisse bane hazaar
utnaa samajh sakaa jise jitnaa shuur thaa
nizaam-e-mai-kada saaqi badalne ki zarurat hai
hazaaron hain safein jin mein na mai aai na jaam aayaa
bevafaa umr daghaabaaz javaani nikli
na yahi rahti hai zaalim na vahi rahti hai
har uzv hai dil-fareb teraa
kahiye kise kaun saa hai behtar
vafaa-shiaar kai hain koi hasin bhi to ho
chalo phir aaj usi bevafaa ki baat karein
main apni aankhon se apnaa zavaal dekhtaa huun
main bevafaa huun magar be-khabar na jaan mujhe
muqaddar se mire donon ke donon bevafaa nikle
na umr-e-bevafaa palTi na phir jaa kar shabaab aayaa
dil bhi toDaa to saliqe se na toDaa tum ne
bevafaai ke bhi aadaab huaa karte hain