Shayari
'ishq vaqt-e-digar pe kyon chhoDein
ye tire baa'd ho nahin saktaa
tu zindagi kaa miri intisaab hai mire dost
so tere naam hi pahli kitaab hai mire dost
تو زندگی کا مری انتساب ہے مرے دوست
سو تیرے نام ہی پہلی کتاب ہے مرے دوست
तू ज़िंदगी का मिरी इंतिसाब है मिरे दोस्त
सो तेरे नाम ही पहली किताब है मिरे दोस्त

'ishq vaqt-e-digar pe kyon chhoDein
ye tire baa'd ho nahin saktaa
ab tiraa rasta judaa meraa judaa
dekh qismat kaa likhaa hote hue
saahabo main ne taraashe nahin patthar ke sanam
mere haathon se banaa aur banaa ek hi shakhs
jahaan tak ho sake khud ko bachaa badnaam hone se
mohabbat khatm hoti hai mohabbat 'aam hone se
bahut achchhaa bahut achchhaa bahut achchhaa hai tu lekin
tujhe koi kahe achchhaa mujhe achchhaa nahin lagtaa
is liye kashkol mein paDti hai bhiik
ham ne hai laaThi se laTkaayaa huaa
kam-umri mein sunet hain
mar jaate hain achchhe log
zindagi tu bhi hamein vaise hi ik roz guzaar
jis tarah ham tujhe barson se guzaare hue hain
main tujh se saath bhi to umar bhar kaa chaahtaa thaa
so ab tujh se gilaa bhi umar bhar kaa ho gayaa hai
be-charaaghaan bastiyon ko zindagi de
ik sitam aisaa bhi kar ijaad taaza
apne atvaar mein kitnaa baDaa shaatir hogaa
zindagi tujh se kabhi jis ne shikaayat nahin ki
jald manzil tak pahunchne kaa junun us ko rahaa
zindagi bhar is liye rasta badaltaa rah gayaa