Shayari
tiraa yaqin huun main kab se is gumaan mein thaa
main zindagi ke baDe sakht imtihaan mein thaa
Z
Zafar Ghauribe-charaaghaan bastiyon ko zindagi de
ik sitam aisaa bhi kar ijaad taaza
بے چراغاں بستیوں کو زندگی دے
اک ستم ایسا بھی کر ایجاد تازہ
बे-चराग़ाँ बस्तियों को ज़िंदगी दे
इक सितम ऐसा भी कर ईजाद ताज़ा
tiraa yaqin huun main kab se is gumaan mein thaa
main zindagi ke baDe sakht imtihaan mein thaa
dil mein rakh zakhm-e-navaa raah mein kaam aaegaa
dasht-e-be-samt mein ik hu kaa maqaam aaegaa
log samjhe apni sachchaai ki khaatir jaan di
varna ham to jurm kaa iqraar karne aae the
kam-umri mein sunet hain
mar jaate hain achchhe log
zindagi tu bhi hamein vaise hi ik roz guzaar
jis tarah ham tujhe barson se guzaare hue hain
main tujh se saath bhi to umar bhar kaa chaahtaa thaa
so ab tujh se gilaa bhi umar bhar kaa ho gayaa hai
bahut aziiz thi ye zindagi magar ham log
kabhi kabhi to kisi aarzu mein mar bhi gae
har baar hi main jaan se jaane mein rah gayaa
main rasm-e-zindagi jo nibhaane mein rah gayaa
zindagi kaa har ik gham uThaate hue
main sanbhalne lagaa laDkhaDaate hue