Shayari
khaak huun lekin saraapaa nuur hai meraa vajud
is zamin par chaand suraj kaa numaainda huun main
jaagti aankh se jo khvaab thaa dekhaa 'anvar'
us ki taabir mujhe dil ke jalaane se mili
جاگتی آنکھ سے جو خواب تھا دیکھا انورؔ
اس کی تعبیر مجھے دل کے جلانے سے ملی
जागती आँख से जो ख़्वाब था देखा 'अनवर'
उस की ताबीर मुझे दिल के जलाने से मिली

khaak huun lekin saraapaa nuur hai meraa vajud
is zamin par chaand suraj kaa numaainda huun main
khuli zabaan to zarf un kaa ho gayaa zaahir
hazaar bhed chhupaa rakkhe the khamoshi mein
pankh hilaa kar shaam gai hai is aangan se
ab utregi raat anokhi yaadon vaali
chalaa main jaanib-e-manzil to ye huaa maalum
yaqin gumaan mein gum hai gumaan hai poshida
sail-e-zamaan mein Duub gae mashhur-e-zamaana log
vaqt ke munsif ne kab rakkhaa qaaem un kaa naam
shikva kiyaa zamaane kaa to us ne ye kahaa
jis haal mein ho zinda raho aur khush raho
main baDaa ho gayaa huun magar bachpanaa
mere dil se kabhi bhi gayaa hi nahin
'saif' andaaz-e-bayaan rang badal detaa hai
varna duniyaa mein koi baat nai baat nahin
main badaltaa huun roz apnaa hadaf
ye miri mustaqil-mizaaji hai
furqat mein kaar-e-vasl liyaa vaah vaah se
har aah-e-dil ke saath ik armaan nikal gayaa
dil to dil afai-e-gesu vo balaa hai kaafir
is kaa kaaTaa koi afi bhi na paani maange
har nafs utni hi lau degaa 'siraaj'
jitni jis dil mein haraarat hogi