Shayari
jitni vo mire haal pe karte hain jafaaein
aataa hai mujhe un ki mohabbat kaa yaqin aur
dil-e-fasurda pe sau baar taazgi aai
magar vo yaad ki jaa kar na phir kabhi aai
دل فسردہ پہ سو بار تازگی آئی
مگر وہ یاد کہ جا کر نہ پھر کبھی آئی
दिल-ए-फ़सुर्दा पे सौ बार ताज़गी आई
मगर वो याद कि जा कर न फिर कभी आई

jitni vo mire haal pe karte hain jafaaein
aataa hai mujhe un ki mohabbat kaa yaqin aur
ishq-e-butaan kaa le ke sahaaraa kabhi kabhi
apne khudaa ko ham ne pukaaraa kabhi kabhi
mohabbat soz bhi hai saaz bhi hai
khamoshi bhi hai ye aavaaz bhi hai
maut hi insaan ki dushman nahin
zindagi bhi jaan le kar jaaegi
ik raushni si dil mein thi vo bhi nahin rahi
vo kyaa gae charaagh-e-tamannaa bujhaa gae
saaqi miri khamosh-mizaaji ki laaj rakh
iqraar gar nahin hai to inkaar bhi nahin
sabhi se jab mohabbat chaahte ho
mohabbat kyon nahin karte sabhi se
kisi se ishq apnaa kyaa chhupaaein
mohabbat Tapki paDti hai nazar se
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
junun-e-mohabbat yahaan tak to pahunchaa
ki tark-e-mohabbat kiyaa chaahtaa huun
sunte the mohabbat aasaan hai vallaah bahut aasaan hai magar
is sahal mein jo dushvaari hai vo mushkil si mushkil mein nahin
ban jaaun na begaana-e-aadaab-e-mohabbat
itnaa na qarib aao munaasib to yahi hai