Shayari
ham hain ki ab bhi vaadi-e-zulmat mein hain ravaan
apne lahu se kar ke charaaghaan kaa ehtimaam
ham ne mai-khaana-e-mohabbat mein
bu-e-mai par bhi din guzaare hain
ہم نے مے خانۂ محبت میں
بوئے مے پر بھی دن گزارے ہیں
हम ने मय-ख़ाना-ए-मोहब्बत में
बू-ए-मय पर भी दिन गुज़ारे हैं

bil-aakhir thak haar ke yaaro ham ne bhi taslim kiyaa
apni zaat se ishq hai sachchaa baaqi sab afsaane hain
na paak hogaa kabhi husn o ishq kaa jhagDaa
vo qissa hai ye ki jis kaa koi gavaah nahin
shama bujh kar rah gai parvaana jal kar rah gayaa
yaadgaar-e-husn-o-ishq ik daagh dil par rah gayaa
sabhi se jab mohabbat chaahte ho
mohabbat kyon nahin karte sabhi se
baat karnaa pyaar ki aasaan se aasaan hai
ishq karnaa karte rahnaa hai kaThin se bhi kaThin
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin