Shayari
jo zakhm doston ne diye hain vo chhup to jaaein
par dushmanon ki samt se patthar koi to aae
kyaa haath uThaaiye duaa ko
ham haath uThaa chuke duaa se
کیا ہاتھ اٹھائیے دعا کو
ہم ہاتھ اٹھا چکے دعا سے
क्या हाथ उठाइए दुआ को
हम हाथ उठा चुके दुआ से

jo zakhm doston ne diye hain vo chhup to jaaein
par dushmanon ki samt se patthar koi to aae
aah-e-be-asar nikli naala naa-rasaa niklaa
ik khudaa pe takiya thaa vo bhi aap kaa niklaa
ajiib shahr hai ghar bhi hain raaston ki tarah
kise nasib hai raaton ko chhup ke ronaa bhi
jitne the rang husn-e-bayaan ke bigaD gae
lafzon ke baagh shahar ki surat ujaD gae
ik navaa-e-rafta ki baazgasht thi 'qaisi'
dil jise samajhte the dasht-e-be-sadaa niklaa
ye raas rang ye mel milan ik haath mein chaand ik mein suraj
ik raat kaa mauj maza saaraa ik din kaa sair-sapaaTaa hai
duaa ye hai na hon gumraah ham-safar mere
'khumaar' main ne to apnaa safar tamaam kiyaa
main jo kahtaa huun mujh se duur raho
ye nasihat hai iltimaas nahin
qubul un ki duaaein zarur hoti hain
ragon mein apni lahu jo halaal rakhte hain
kaho kyaa mehrbaan naa-mehrbaan taqdir hoti hai
kahaa maan ki duaaon mein baDi taasir hoti hai
kab tak tu aasmaan mein chhup ke baiThegaa
maang rahaa huun main kab se duaa baahar aa
main kisi ke dast-e-talab mein huun to kisi ke harf-e-duaa mein huun
main nasib huun kisi aur kaa mujhe maangtaa koi aur hai