Shayari
na tum hosh mein ho na ham hosh mein hain
chalo mai-kade mein vahin baat hogi
dushmani jam kar karo lekin ye gunjaaish rahe
jab kabhi ham dost ho jaaein to sharminda na hon
دشمنی جم کر کرو لیکن یہ گنجائش رہے
جب کبھی ہم دوست ہو جائیں تو شرمندہ نہ ہوں
दुश्मनी जम कर करो लेकिन ये गुंजाइश रहे
जब कभी हम दोस्त हो जाएँ तो शर्मिंदा न हों

na tum hosh mein ho na ham hosh mein hain
chalo mai-kade mein vahin baat hogi
sar jhukaaoge to patthar devtaa ho jaaegaa
itnaa mat chaaho use vo bevafaa ho jaaegaa
raat kaa intizaar kaun kare
aaj kal din mein kyaa nahin hotaa
ujaale apni yaadon ke hamaare saath rahne do
na jaane kis gali mein zindagi ki shaam ho jaae
jis din se chalaa huun miri manzil pe nazar hai
aankhon ne kabhi miil kaa patthar nahin dekhaa
koi phuul saa haath kaandhe pe thaa
mire paanv shoalon pe jalte rahe
jab ki pahlu se yaar uThtaa hai
dard be-ikhtiyaar uThtaa hai
har raaste se manzil-e-hasti hai bahut duur
jaaegaa mire saath gham-e-yaar kahaan tak
pahle bhi jis pe mire sabr ki had khatm hui
tu ne kar di naa vahi baat dobaara mire dost
nai mohabbatein 'khaalid' puraani dostiyaan
azaab-e-kashmakash-e-be-amaan mein rahte hain
nahin maalum ai yaaro 'sabaa' ke dil mein kyaa aayaa
abhi jo baiThe baiThe vo yakaayak aah kar uTThaa
kaun rotaa hai kisi aur ki khaatir ai dost
sab ko apni hi kisi baat pe ronaa aayaa