Shayari
na tum hosh mein ho na ham hosh mein hain
chalo mai-kade mein vahin baat hogi
kabhi kabhi to chhalak paDti hain yunhi aankhein
udaas hone kaa koi sabab nahin hotaa
کبھی کبھی تو چھلک پڑتی ہیں یوں ہی آنکھیں
اداس ہونے کا کوئی سبب نہیں ہوتا
कभी कभी तो छलक पड़ती हैं यूँही आँखें
उदास होने का कोई सबब नहीं होता

na tum hosh mein ho na ham hosh mein hain
chalo mai-kade mein vahin baat hogi
bhuul shaayad bahut baDi kar li
dil ne duniyaa se dosti kar li
ik shaam ke saae tale baiThe rahe vo der tak
aankhon se ki baatein bahut munh se kahaa kuchh bhi nahin
khudaa aise ehsaas kaa naam hai
rahe saamne aur dikhaai na de
hasin to aur hain lekin koi kahaan tujh saa
jo dil jalaae bahut phir bhi dilrubaa hi lage
khudaa ki itni baDi kaaenaat mein main ne
bas ek shakhs ko maangaa mujhe vahi na milaa
gham hai na ab khushi hai na ummid hai na yaas
sab se najaat paae zamaane guzar gae
jab ki pahlu se yaar uThtaa hai
dard be-ikhtiyaar uThtaa hai
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
tujhe sang-dil ye pata hai kyaa ki dukhe dilon ki sadaa hai kyaa?
kabhi choT tu ne bhi khaai hai kabhi teraa dil bhi dukhaa hai kyaa?
sair-e-bahaar-e-baagh se ham ko muaaf kijiye
us ke khayaal-e-zulf se 'dard' kise faraagh hai
zulfon mein to sadaa se ye kaj-adaaiyaan hain
aankhon ne par ye aur hi aankhein dikhaaiyaan hain