Shayari
rahne de zikr-e-kham-e-zulf-e-musalsal ko nadim
us ke to dhyaan se bhi hotaa hai dil ko uljhaao
vuzu hotaa hai yaan to shaikh usi aab-e-gulaabi se
tayammum ke liye tum khaak jaa kar dasht mein phaankon
وضو ہوتا ہے یاں تو شیخ اسی آب گلابی سے
تیمم کے لئے تم خاک جا کر دشت میں پھانکو
वुज़ू होता है याँ तो शैख़ उसी आब-ए-गुलाबी से
तयम्मुम के लिए तुम ख़ाक जा कर दश्त में फाँको

rahne de zikr-e-kham-e-zulf-e-musalsal ko nadim
us ke to dhyaan se bhi hotaa hai dil ko uljhaao
jo chashm-e-dil-rubaa ke vasf mein ashaar likhtaa huun
to har har lafz par ahl-e-nazar ik saad karte hain
tum se ab kyaa kahein vo chiiz hai daagh-e-gham-e-ishq
ki chhupaae na chhupe aur dikhaae na bane
dam ghanimat hai saaliko meraa
jaras-e-daur ki sadaa huun main
ye chalan hain to tumhein hashr se deinge tashbih
log saffaak kaheinge baDi rusvaai hai
vafaa par daghaa sulh mein dushmani hai
bhalaai kaa hargiz zamaana nahin hai
shaahraahein dafatan shoale ugalne lag gaiin
ghar ki jaanib chal paDaa hai shahr gheraa kar tamaam
main tujh se saath bhi to umar bhar kaa chaahtaa thaa
so ab tujh se gilaa bhi umar bhar kaa ho gayaa hai
kahaan milegi misaal meri sitamgari ki
ki main gulaabon ke zakhm kaanTon se si rahaa huun
apne liye tajviz ki shamshir-e-barhana
aur us ke liye shaakh se ik phuul utaaraa
kabhi tegh-e-tez supurd ki kabhi tohfa-e-gul-e-tar diyaa
kisi shaah-zaadi ke ishq ne miraa dil sitaaron se bhar diyaa
vo aaina ho yaa ho phuul taara ho ki paimaana
kahin jo kuchh bhi TuuTaa main yahi samjhaa miraa dil hai