Shayari
ye kaisi bad-duaa di hai kisi ne
samundar huun magar khaaraa huaa huun
yuun guftugu-e-ulfat dilchasp ham kareinge
aankhon se tum kahoge aankhon se ham suneinge
یوں گفتگوئے الفت دلچسپ ہم کریں گے
آنکھوں سے تم کہو گے آنکھوں سے ہم سنیں گے
यूँ गुफ़्तुगू-ए-उल्फ़त दिलचस्प हम करेंगे
आँखों से तुम कहोगे आँखों से हम सुनेंगे

ye kaisi bad-duaa di hai kisi ne
samundar huun magar khaaraa huaa huun
azal se barse hai paakizgi falak se yahaan
numaayaan hove hai phir shakl-e-bahan mein vo yahaan
kahaan jurat in ashkon ki ki dehri aankh ki laanghein
hai pahraa zabt kaa aisaa ki sahme sahme rahte hain
havas-e-zar ne kiyaa rishton kaa jo haal na puchh
khuun rulaataa hai yahaan khuun kaa rishta apnaa
thaa kabhi un ki nigaahon mein buland apnaa maqaam
itni unchaai se gir kar bhi koi bachtaa hai
khushaamad taabedaari minnat-o-khidmat sujud-e-husn
azal se didani hai bebasi-o-aajizi-e-ishq
sabhi se jab mohabbat chaahte ho
mohabbat kyon nahin karte sabhi se
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
aataa rahaa huun yaad main us ko tamaam umr
is zaaviye se ishq mein naakaam kab huaa
yaa husn huaa majbur-e-karam yaa ishq ne manzil paali hai
vo zulf bikhere aae hain ik vahshi ke samjhaane ko
kyaa kahaa ishq jaavedaani hai!
aakhiri baar mil rahi ho kyaa
dil kaun hai ki us se kahein raaz-e-ishq ham
tere khayaal se bhi na ham guftugu karein