Shayari
ain-fitrat hai ki jis shaakh pe phal aaeinge
inkisaari se vahi shaakh lachak jaaegi
is intizaar mein baiThe hain un ki mahfil mein
ki vo nigaah uThaaein to ham salaam karein
اس انتظار میں بیٹھے ہیں ان کی محفل میں
کہ وہ نگاہ اٹھائیں تو ہم سلام کریں
इस इंतिज़ार में बैठे हैं उन की महफ़िल में
कि वो निगाह उठाएँ तो हम सलाम करें

ain-fitrat hai ki jis shaakh pe phal aaeinge
inkisaari se vahi shaakh lachak jaaegi
bahut aasaan hai do ghunT pi lenaa to ai 'raahi'
baDi mushkil se aate hain magar aadaab-e-mai-khaana
sochne ki ye baat hai 'raahi'
sochte hi rahe to kyaa hogaa
ab to utni bhi mayassar nahin mai-khaane mein
jitni ham chhoD diyaa karte the paimaane mein
vaqt barbaad karne vaalon ko
vaqt barbaad kar ke chhoDegaa
abas ilzaam mat do mushkilaat-e-raah ko 'raahi'
tumhaare hi iraade mein kami maalum hoti hai
vo na aaegaa hamein maalum thaa is shaam bhi
intizaar us kaa magar kuchh soch kar karte rahe
pyaaso raho na dasht mein baarish ke muntazir
maaro zamin pe paanv ki paani nikal paDe
barseingi aaj rahmatein aamad hai yaar ki
naayaab hain ye ghaDiyaan tire intizaar ki
bikhar rahi thi havaaon mein eatibaar ki raakh
aur intizaar ki muTThi mein zindagi kam thi
mustaqil ik be-yaqini ik musalsal intizaar
phir achaanak ek chehra jaa-ba-jaa raushan huaa
saraa-e-ishq mein baiThe hue hain dil vaale
aur ek aakhiri tohmat ke intizaar mein hain