Shayari
mullaa tiri akaD se ye hone lagaa gumaan
jaise khudaa zamin pe numudaar ho gayaa
tasaadum dekh kar afkaar-e-nau kaa jahl-e-dauraan se
sukhan raushan-khayaali kaa sunaanaa sakht mushkil hai
تصادم دیکھ کر افکار نو کا جہل دوراں سے
سخن روشن خیالی کا سنانا سخت مشکل ہے
तसादुम देख कर अफ़्कार-ए-नौ का जहल-ए-दौराँ से
सुख़न रौशन-ख़याली का सुनाना सख़्त मुश्किल है

mullaa tiri akaD se ye hone lagaa gumaan
jaise khudaa zamin pe numudaar ho gayaa
niind aati hi nahin thi aagahi ke dard se
maut ne aaghosh mein le kar sulaayaa hai mujhe
chhin leti hai aadmi kaa vaqaar
muflisi bhi 'azaab hai yaaro
miT jaaegi vatan se jahaalat ki tirgi
vo dekh inqalaab kaa suraj qarib hai
ik maan ke dam se ziist mein raunaq thi barqaraar
ab vo nahin to raunaq-e-bazm-e-jahaan nahin
mazhab se us ke dil mein na paidaa huaa gudaaz
ye aadmi to aur bhi saffaak ho gayaa
kyon tasavvur mein ji rahaa huun main
jab haqiqat mein mar hi jaanaa hai
apni anaa ki aaj bhi taskin ham ne ki
ji bhar ke us ke husn ki tauhin ham ne ki
kuchh phulon ki khaatir bhi kuchh phulon kaa
sab se achchhaa rang churaanaa paDtaa hai
vahaan hamaaraa koi muntazir nahin phir bhi
hamein na rok ki ghar jaanaa chaahte hain ham
ghurur bhi jo karun main to aajizi ho jaae
khudi mein lutf vo aae ki be-khudi ho jaae
jab talak shisha rahaa main baar-haa toDaa gayaa
ban gayaa patthar to sab ne devtaa maanaa mujhe