Shayari
usi taraf hai zamaana bhi aaj mahv-e-safar
'faraagh' main ne jidhar se guzarnaa chaahaa thaa
miri maili hatheli par to bachpan se
gharibi kaa kharaa sonaa chamaktaa hai
مری میلی ہتھیلی پر تو بچپن سے
غریبی کا کھرا سونا چمکتا ہے
मिरी मैली हथेली पर तो बचपन से
ग़रीबी का खरा सोना चमकता है

usi taraf hai zamaana bhi aaj mahv-e-safar
'faraagh' main ne jidhar se guzarnaa chaahaa thaa
ham se tahzib kaa daaman nahin chhoDaa jaataa
dasht-e-vahshat mein bhi aadaab liye phirte hain
mujh mein hai yahi aib ki auron ki tarah main
chehre pe kabhi dusraa chehraa nahin rakhtaa
khuub nibhegi ham donon mein mere jaisaa tu bhi hai
thoDaa jhuTaa main bhi Thahraa thoDaa jhuTaa tu bhi hai
kisi ne raah kaa patthar hamin ko Thahraayaa
ye aur baat ki phir aaina hamin Thahre
yaaro hudud-e-gham se guzarne lagaa huun main
mujh ko sameT lo ki bikharne lagaa huun main
main baDaa ho gayaa huun magar bachpanaa
mere dil se kabhi bhi gayaa hi nahin
raat yuun dil mein tiri khoi hui yaad aai
jaise viraane mein chupke se bahaar aa jaae
ye dil kaa karb labon tak kabhi na aaegaa
mire liye ye khamoshi kaa irtiqaa hi sahi
khuli zabaan to zarf un kaa ho gayaa zaahir
hazaar bhed chhupaa rakkhe the khamoshi mein
chup-chaap apne yaar ki dahliz par mare
duniyaa kahegi ham bhi kisi chiiz par mare
shahr gum-sum raaste sunsaan ghar khaamosh hain
kyaa balaa utri hai kyuun divaar-o-dar khaamosh hain