Shayari
us ke baare mein bahut sochtaa huun
mujh se bichhDaa to kidhar jaaegaa
anaa ki jang mein ham jiit to gae lekin
phir us ke baad bahut der tak niDhaal rahe
انا کی جنگ میں ہم جیت تو گئے لیکن
پھر اس کے باد بہت دیر تک نڈھال رہے
अना की जंग में हम जीत तो गए लेकिन
फिर उस के बाद बहुत देर तक निढाल रहे

us ke baare mein bahut sochtaa huun
mujh se bichhDaa to kidhar jaaegaa
baarish hui to ghar ke dariche se lag ke ham
chup-chaap sogvaar tumhein sochte rahe
kabhi sahar to kabhi shaam le gayaa mujh se
tumhaaraa dard kai kaam le gayaa mujh se
saans letaa huun to rotaa hai koi siine mein
dil dhaDaktaa hai to maatam ki sadaa aati hai
use ziyaada zarurat thi ghar basaane ki
vo aa ke mere dar-o-baam le gayaa mujh se
main be-khayaal kabhi dhuup mein nikal aauun
to kuchh sahaab mire saath saath chalte hain
kyon tasavvur mein ji rahaa huun main
jab haqiqat mein mar hi jaanaa hai
apni anaa ki aaj bhi taskin ham ne ki
ji bhar ke us ke husn ki tauhin ham ne ki
vo kuchh muskuraanaa vo kuchh jheinp jaanaa
javaani adaaein sikhaati hain kyaa kyaa
un ki ammi ho chalin thiin rafta rafta ham-khayaal
haan magar abbaa kaa un ke varghalaanaa yaad hai
jo aashiq ho use sahraa mein chal jaane se kyaa nisbat
juz apni dhuul uDaanaa aur viraane se kyaa nisbat
ghairon ko bhalaa samjhe aur mujh ko buraa jaanaa
samjhe bhi to kyaa samjhe jaanaa bhi to kyaa jaanaa