Shayari
chal diyaa saath hi mere tiri yaadon kaa hujum
raah se ziist ki tanhaa jo guzarnaa chaahaa
harf pyaar ke saare aa gae the aankhon mein
jab liyaa thaa haathon mein chehra vo kitaabi saa
حرف پیار کے سارے آ گئے تھے آنکھوں میں
جب لیا تھا ہاتھوں میں چہرہ وہ کتابی سا
हर्फ़ प्यार के सारे आ गए थे आँखों में
जब लिया था हाथों में चेहरा वो किताबी सा

bil-aakhir thak haar ke yaaro ham ne bhi taslim kiyaa
apni zaat se ishq hai sachchaa baaqi sab afsaane hain
sabhi se jab mohabbat chaahte ho
mohabbat kyon nahin karte sabhi se
na paak hogaa kabhi husn o ishq kaa jhagDaa
vo qissa hai ye ki jis kaa koi gavaah nahin
shama bujh kar rah gai parvaana jal kar rah gayaa
yaadgaar-e-husn-o-ishq ik daagh dil par rah gayaa
nahin vo sham-e-mohabbat rahi to phir 'aasim'
ye kis duaa se mire ghar mein raushni si hai
kisi se ishq apnaa kyaa chhupaaein
mohabbat Tapki paDti hai nazar se