Shayari
ishq jab se mujhe mayassar hai
khud ko hoti nahin mayassar main
meri binaai kam nahin hogi
meri aankhon mein maan kaa chehra hai
میری بینائی کم نہیں ہوگی
میری آنکھوں میں ماں کا چہرہ ہے
मेरी बीनाई कम नहीं होगी
मेरी आँखों में माँ का चेहरा है

ishq jab se mujhe mayassar hai
khud ko hoti nahin mayassar main
mujh se puchhaa jo kisi ne tiri pahchaan bataa
main pukaari main tumhaari main tumhaari maulaa
kuza-gar main tiri mohabbat mein
apni surat bigaaD leti huun
vaqt jab aaina dikhaataa hai
aadmi khud ko bhuul jaataa hai
aaj phir tum ko ham ne dekhaa hai
aaj mahshar bani hain ye aankhein
jab vo kahti hai yuun ki uf tauba
meri tauba hi TuuT jaati hai
shaahraahein dafatan shoale ugalne lag gaiin
ghar ki jaanib chal paDaa hai shahr gheraa kar tamaam
gham hai na ab khushi hai na ummid hai na yaas
sab se najaat paae zamaane guzar gae
tumhein fursat ho duniyaa se to ham se aa ke milnaa
hamaare paas fursat ke sivaa kyaa rah gayaa hai
zamaana mujh se judaa ho gayaa zamaana huaa
rahaa hai ab to bichhaDne ko mujh se tu baaqi
vo na aaegaa hamein maalum thaa is shaam bhi
intizaar us kaa magar kuchh soch kar karte rahe
ret par ik nishaan hai shaayad
ye hamaaraa makaan hai shaayad