Shayari
maayus dilon ko ab chheDo bhi to kyaa haasil
TuuTe hue paimaane fariyaad nahin karte
qadam qadam pe donon jurm-e-ishq mein sharik hain
nazar ko be-khataa kahun ki dil ko be-khataa kahun
قدم قدم پہ دونوں جرم عشق میں شریک ہیں
نظر کو بے خطا کہوں کہ دل کو بے خطا کہوں
क़दम क़दम पे दोनों जुर्म-ए-इश्क़ में शरीक हैं
नज़र को बे-ख़ता कहूँ कि दिल को बे-ख़ता कहूँ

maayus dilon ko ab chheDo bhi to kyaa haasil
TuuTe hue paimaane fariyaad nahin karte
fazaa kaa tang honaa fitrat-e-aazaad se puchho
par-e-parvaaz hi kyaa jo qafas ko aashiyaan samjhe
dil hai miraa rangini-e-aaghaaz pe maail
nazron mein abhi jaam hai anjaam nahin hai
ik teraa aasraa hai faqat ai khayaal-e-dost
sab bujh gae charaagh shab-e-intizaar mein
un pe qurbaan har khushi kar di
zindagi nazr-e-zindagi kar di
partav-e-husn se zarre bhi bane aaine
kitne jalve kiye arzaan tiri raanaai ne
sabhi se jab mohabbat chaahte ho
mohabbat kyon nahin karte sabhi se
kisi se ishq apnaa kyaa chhupaaein
mohabbat Tapki paDti hai nazar se
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
kuchh khud bhi huun main ishq mein afsurda o ghamgin
kuchh talkhi-e-haalaat kaa ehsaas huaa hai
ek 'arse ke baa'd main ne tumhein dekhaa hai
ek 'arse ke baa'd phir se mujhe pyaar huaa
ye main ne kab kahaa thaa mujhe pyaar hi karo
lekin ye chaahne mein koi harj to nahin