Shayari
naav na Duubi dariyaa mein
naav mein dariyaa Duub gayaa
ujle maile pesh hue
jaise ham the pesh hue
اجلے میلے پیش ہوئے
جیسے ہم تھے پیش ہوئے
उजले मैले पेश हुए
जैसे हम थे पेश हुए

naav na Duubi dariyaa mein
naav mein dariyaa Duub gayaa
log kinaare aan lage
aur kinaara Duub gayaa
phulon mein vahi to phuul Thahraa
jo tere salaam ko khilaa ho
lahja to badal chubhti hui baat se pahle
tiir aisaa to kuchh ho jise nakhchir bhi chaahe
qadam qadam koi saaya saa muttasil to rahe
saraab kaa ye sar-e-silsila daraaz to ho
kahaan vo zabt ke daave kahaan ye ham 'gauhar'
ki TuTte the na phir TuuT kar bikharte the
aah marg-e-aadmi par aadmi roe bahut
koi bhi royaa na marg-e-aadamiyyat ke liye
maut se kis ko rustagaari hai
aaj vo kal hamaari baari hai
ik ghaDi zindagi mein aati hai
maut kaa intizaar hotaa hai
na aae maut khudaayaa tabaah-haali mein
ye naam hogaa gham-e-rozgaar sah na sakaa
unhi pe ho kabhi naazil azaab aag ajal
vahi nagar kabhi Thahrein payambaron vaale
maut se ziist ki takmil nahin ho sakti
raushni khaak mein tahlil nahin ho sakti