Shayari
dosti aam hai lekin ai dost
dost miltaa hai baDi mushkil se
aah marg-e-aadmi par aadmi roe bahut
koi bhi royaa na marg-e-aadamiyyat ke liye
آہ مرگ آدمی پر آدمی روئے بہت
کوئی بھی رویا نہ مرگ آدمیت کے لیے
आह मर्ग-ए-आदमी पर आदमी रोए बहुत
कोई भी रोया न मर्ग-ए-आदमिय्यत के लिए

dosti aam hai lekin ai dost
dost miltaa hai baDi mushkil se
zamaane bhar ke gham yaa ik tiraa gham
ye gham hogaa to kitne gham na honge
agar tu ittifaaqan mil bhi jaae
tiri furqat ke sadme kam na honge
duniyaa mein hain kaam bahut
mujh ko itnaa yaad na aa
dil se aati hai baat lab pe 'hafiz'
baat dil mein kahaan se aati hai
ham ko manzil ne bhi gumraah kiyaa
raaste nikle kai manzil se
maut se pahle jahaan mein chand saanson kaa azaab
zindagi jo qarz teraa thaa adaa kar aae hain
maut kahte hain jis ko ai 'saaghar'
zindagi ki koi kaDi hogi
mohmal hai na jaanein to, samjhein to vazaahat hai
hai ziist faqat dhokaa aur maut haqiqat hai
marnaa bhi nahin hai apne bas mein
jiinaa bhi azaab ho gayaa hai
tujhe bhi dekh liyaa ham ne o khudaa-e-ajal
ki teraa zor chalaa bhi to ahl-e-gham pe chalaa
bichhaDnaa bhi tumhaaraa jite-ji ki maut hai goyaa
use kyaa khaak lutf-e-zindagi jis se judaa tum ho