Shayari
koi jugnu koi taaraa koi suraj koi chaand
aur ajab baat ki mahrum-e-ujaalaa sab hain
G
Ghufran Amjadkab se banjar thi nazar khvaab to aayaa
shukr hai dasht mein sailaab to aayaa
کب سے بنجر تھی نظر خواب تو آیا
شکر ہے دشت میں سیلاب تو آیا
कब से बंजर थी नज़र ख़्वाब तो आया
शुक्र है दश्त में सैलाब तो आया
mere khvaabon ke jharokon ko sajaate rahiye
na sahi vasl magar yaad to aate rahiye
balaa-e-jaan thi jo bazm-e-tamaashaa chhoD di main ne
khushaa ai zindagi khvaabon ki duniyaa chhoD di main ne
hasin khvaab ko sachchaa samajh rahaa hai koi
faqat gumaan ko duniyaa samajh rahaa hai koi
andheri shab kaa ye khvaab-manzar mujhe ujaalon se bhar rahaa hai
to raat itni tavil kar de ki taa-qayaamat sahar na aae
main ne dekhaa hai bahaaron mein chaman ko jalte
hai koi khvaab ki taabir bataane vaalaa
afsos umr kaT gai ranj-o-malaal mein
dekhaa na khvaab mein bhi jo kuchh thaa khayaal mein