Shayari
ab ke saavan mein sharaarat ye mire saath hui
meraa ghar chhoD ke kul shahr mein barsaat hui
tamaam umr main ik ajnabi ke ghar mein rahaa
safar na karte hue bhi kisi safar mein rahaa
تمام عمر میں اک اجنبی کے گھر میں رہا
سفر نہ کرتے ہوئے بھی کسی سفر میں رہا
तमाम उम्र मैं इक अजनबी के घर में रहा
सफ़र न करते हुए भी किसी सफ़र में रहा

kam-umri mein sunet hain
mar jaate hain achchhe log
main tujh se saath bhi to umar bhar kaa chaahtaa thaa
so ab tujh se gilaa bhi umar bhar kaa ho gayaa hai
zindagi tu bhi hamein vaise hi ik roz guzaar
jis tarah ham tujhe barson se guzaare hue hain
zindagi sundar ghazal hai dosto
zindagi ko gungunaanaa chaahiye
umr bhar kaun nibhaataa hai ta'alluq itnaa
ai miri jaan ke dushman tujhe allaah rakkhe
ai gham-e-zindagi na ho naaraaz
mujh ko aadat hai muskuraane ki