Shayari
shaayad abhi kami si masihaaiyon mein hai
jo dard hai vo ruuh ki gahraaiyon mein hai
'gulnaar' maslahat ki zabaan mein na baat kar
vo zahr pi ke dekh jo sachchaaiyon mein hai
گلنارؔ مصلحت کی زباں میں نہ بات کر
وہ زہر پی کے دیکھ جو سچائیوں میں ہے
'गुलनार' मस्लहत की ज़बाँ में न बात कर
वो ज़हर पी के देख जो सच्चाइयों में है

shaayad abhi kami si masihaaiyon mein hai
jo dard hai vo ruuh ki gahraaiyon mein hai
saudaa hai zamiron kaa har gaam tijaarat hai
chup huun to qayaamat hai bolun to baghaavat hai
kin shahidon ke lahu ke ye farozaan hain charaagh
raushni si jo hai zindaan ke har ik rauzan mein
ek parchhaain tasavvur ki mire saath rahe
main tujhe bhulun magar yaad mujhe tu aae
safar kaa rang hasin qurbaton kaa haamil ho
bahaar ban ke koi ab to ham-safar aae
kyaa baat hai kyuun shahr mein ab ji nahin lagtaa
haalaanki yahaan apne paraae bhi vahi hain
shaahraahein dafatan shoale ugalne lag gaiin
ghar ki jaanib chal paDaa hai shahr gheraa kar tamaam
gul kiyaa jis ne vo thaa aur magar
shama ne shikva havaaon se kiyaa
kahaan milegi misaal meri sitamgari ki
ki main gulaabon ke zakhm kaanTon se si rahaa huun
main tujh se saath bhi to umar bhar kaa chaahtaa thaa
so ab tujh se gilaa bhi umar bhar kaa ho gayaa hai
gul apne ghunche apne gulsitaan apnaa bahaar apni
gavaaraa kyuun chaman mein rah ke zulm-e-baaghbaan kar lein
kaanTe to khair kaanTe hain is kaa gila hi kyaa
phulon ki vaardaat se ghabraa ke pi gayaa