Shayari
piyaala zahr kaa laae ho piine kyon nahin dete
mire marne pe ronaa hai to jiine kyon nahin dete
tere kaandhe pe mohabbat kaa Tikaa hai parcham
jaan be-shak na rahe haar na hone paae
تیرے کاندھے پہ محبت کا ٹکا ہے پرچم
جان بے شک نہ رہے ہار نہ ہونے پائے
तेरे काँधे पे मोहब्बत का टिका है परचम
जान बे-शक न रहे हार न होने पाए

piyaala zahr kaa laae ho piine kyon nahin dete
mire marne pe ronaa hai to jiine kyon nahin dete
vasl ke do-chaar lamhe roz gin gin dekhnaa
rah gayaa thaa zindagi mein kyaa yahi din dekhnaa
khvaab mein chumaa thaa tum ne aur tab se aaj tak
gher leti hain mujhe har gulsitaan ki titliyaan
chaar divaarein tamaasha dekhti hain roz raat
naachti hai zindagi aur taaktaa rahtaa huun main
din-ba-din rog ye baDhtaa hi chalaa jaataa hai
din-ba-din tu miri buniyaad hui jaati hai
sabhi se jab mohabbat chaahte ho
mohabbat kyon nahin karte sabhi se
kisi se ishq apnaa kyaa chhupaaein
mohabbat Tapki paDti hai nazar se
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
ye jo lahore se mohabbat hai
ye kisi aur se mohabbat hai
main dauD dauD ke khud ko pakaD ke laataa huun
tumhaare ishq ne bachchaa banaa diyaa hai mujhe
kis tarah kar diyaa dil-e-naazuk ko chur-chur
is vaaqia ki khaak hai patthar ko ittilaaa