Shayari
ab aap aa gae hain to aataa nahin hai yaad
varna hamein kuchh aap se kahnaa zarur thaa
agar teri khushi hai tere bandon ki masarrat mein
to ai mere khudaa teri khushi se kuchh nahin hotaa
اگر تیری خوشی ہے تیرے بندوں کی مسرت میں
تو اے میرے خدا تیری خوشی سے کچھ نہیں ہوتا
अगर तेरी ख़ुशी है तेरे बंदों की मसर्रत में
तो ऐ मेरे ख़ुदा तेरी ख़ुशी से कुछ नहीं होता

ab aap aa gae hain to aataa nahin hai yaad
varna hamein kuchh aap se kahnaa zarur thaa
jo Thokar hi nahin khaate vo sab kuchh hain magar vaaiz
vo jin ko dast-e-rahmat khud sambhaale aur hote hain
shabaab aayaa kisi but par fidaa hone kaa vaqt aayaa
miri duniyaa mein bande ke khudaa hone kaa vaqt aayaa
jinhein haasil hai teraa qurb khush-qismat sahi lekin
teri hasrat liye mar jaane vaale aur hote hain
milegi shaikh ko jannat, hamein dozakh ataa hogaa
bas itni baat hai jis baat par mahshar bapaa hogaa
hamein bhi aa paDaa hai doston se kaam kuchh yaani
hamaare doston ke bevafaa hone kaa vaqt aayaa
gham hai na ab khushi hai na ummid hai na yaas
sab se najaat paae zamaane guzar gae
nahin nahin main bahut khush rahaa huun tere baghair
yaqin kar ki ye haalat abhi abhi hui hai
sitam to ye hai ki vo bhi na ban sakaa apnaa
qubul ham ne kiye jis ke gham khushi ki tarah
balaa-e-jaan thi jo bazm-e-tamaashaa chhoD di main ne
khushaa ai zindagi khvaabon ki duniyaa chhoD di main ne
tum aake lauT gae phir bhi ho yahin maujud
tumhaare jism ki khushbu mire makaan mein hai
us ko sochun to dhyaan mein mere
khushbu aati hai pahli baarish ki