Shayari
ye sukhe patte nahin zamaane pe tabsire hain
shajar ne likh kar bikher di hain fazaa mein baatein
rahnaa pal pal dhyaan mein
milnaa iid ke iid mein
رہنا پل پل دھیان میں
ملنا عید کے عید میں
रहना पल पल ध्यान में
मिलना ईद के ईद में

ye sukhe patte nahin zamaane pe tabsire hain
shajar ne likh kar bikher di hain fazaa mein baatein
vo mire kaase mein yaadein chhoD kar yuun chal diyaa
jis tarah alfaaz jaate hon muaani chhoD kar
chehron ko pairon se kuchal kar aage baDh jaanaa
jiit isi ko kahte hain to phir main haar gayaa
titliyaan phuul mein kyaa DhunDhti rahti hain sadaa
kyaa kahin baad-e-sabaa rakh gai paighaam tiraa
''jo bhi aave hai vo nazdik hi baiThe hai tire''
shisha-e-chashm mein kis kis ko utaaraa huaa hai
us ki aankhon mein mohabbat kaa gumaan tak nahin aaj
kaun si aag thi kal jis kaa dhuaan tak nahin aaj
muddaton baa'd kabhi ai nazar aane vaale
iid kaa chaand na dekhaa tiri surat dekhi
eid kaa chaand jo dekhaa to tamannaa lipTi
un se taqrib-e-mulaaqaat kaa rishta niklaa
mujh ko to iid mein bhi faraaghat kahaan mili
laDti rahi hai saas savere se shaam tak
iid kaa din to hai magar 'jaafar'
main akele to hans nahin saktaa
nikle hain ghar se dekhne ko log maah-e-id
aur dekhte hain abru-e-khamdaar ki taraf
eid ab ke bhi gai yunhi kisi ne na kahaa
ki tire yaar ko ham tujh se milaa dete hain