Shayari
begam bhi hain khaDi hui maidaan-e-hashr mein
mujh se mire gunah kaa hisaab ai khudaa na maang
goggle lagaa ke aankh par chalne lage hasin
vo lutf ab kahaan nigah-e-nim-baaz kaa
گوگل لگا کے آنکھ پر چلنے لگے حسین
وہ لطف اب کہاں نگہ نیم باز کا
गोग्गल लगा के आँख पर चलने लगे हसीन
वो लुत्फ़ अब कहाँ निगह-ए-नीम-बाज़ का

shaahraahein dafatan shoale ugalne lag gaiin
ghar ki jaanib chal paDaa hai shahr gheraa kar tamaam
main tujh se saath bhi to umar bhar kaa chaahtaa thaa
so ab tujh se gilaa bhi umar bhar kaa ho gayaa hai
qaatil tiri gali bhi badaun se kam nahin
jis ke qadam qadam pe mazaar-e-shahid hai
sabza o gul kahaan se aae hain
abr kyaa chiiz hai havaa kyaa hai
kuchh phulon ki khaatir bhi kuchh phulon kaa
sab se achchhaa rang churaanaa paDtaa hai
main us gulshan kaa bulbul huun bahaar aane nahin paati
ki sayyaad aan kar meraa gulistaan mol lete hain