Shayari
gham-e-aarzu kaa 'hasrat' sabab aur kyaa bataaun
miri himmaton ki pasti mire shauq ki bulandi
daava-e-aashiqi hai to 'hasrat' karo nibaah
ye kyaa ke ibtidaa hi mein ghabraa ke rah gae
دعوئ عاشقی ہے تو حسرتؔ کرو نباہ
یہ کیا کے ابتدا ہی میں گھبرا کے رہ گئے
दावा-ए-आशिक़ी है तो 'हसरत' करो निबाह
ये क्या के इब्तिदा ही में घबरा के रह गए

gham-e-aarzu kaa 'hasrat' sabab aur kyaa bataaun
miri himmaton ki pasti mire shauq ki bulandi
raat din naama-o-paighaam kahaan tak doge
saaf kah dijiye milnaa hamein manzur nahin
'hasrat' bahut hai martaba-e-aashiqi buland
tujh ko to muft logon ne mashhur kar diyaa
taasir-e-barq-e-husn jo un ke sukhan mein thi
ik larzish-e-khafi mire saare badan mein thi
ham kyaa karein agar na tiri aarzu karein
duniyaa mein aur bhi koi tere sivaa hai kyaa
chhup nahin sakti chhupaane se mohabbat ki nazar
paD hi jaati hai rukh-e-yaar pe hasrat ki nazar
miri tamannaa hai ab ke tum phir milo to ji bhar ke muskuraaein
ki dekhnaa hai ye raushni kaa safar bahut der baa'd jaa kar
ye aarzu thi tujhe gul ke ru-ba-ru karte
ham aur bulbul-e-betaab guftugu karte
shorish-e-ishq mein hai husn baraabar kaa sharik
soch kar jurm-e-tamannaa ki sazaa do ham ko
hijr mein shiddat dikhaate hain sabhi 'aashiq magar
lutf tab hai vasl ho par aarzu baaqi rahe
ham ne iraada tark-e-tamannaa kaa jab kiyaa
teraa khayaal ai dil-e-naakaam aa gayaa
khvaahish pari ki hai na tamannaa hai huur ki
aankhon ke aage bas rahe surat huzur ki