Shayari
ham kyaa karein agar na tiri aarzu karein
duniyaa mein aur bhi koi tere sivaa hai kyaa
kaT gai ehtiyaat-e-ishq mein umr
ham se izhaar-e-muddaaa na huaa
کٹ گئی احتیاط عشق میں عمر
ہم سے اظہار مدعا نہ ہوا
कट गई एहतियात-ए-इश्क़ में उम्र
हम से इज़हार-ए-मुद्दआ न हुआ

ham kyaa karein agar na tiri aarzu karein
duniyaa mein aur bhi koi tere sivaa hai kyaa
barsaat ke aate hi tauba na rahi baaqi
baadal jo nazar aae badli meri niyat bhi
khirad kaa naam junun paD gayaa junun kaa khirad
jo chaahe aap kaa husn-e-karishma-saaz kare
iqraar hai ki dil se tumhein chaahte hain ham
kuchh is gunaah ki bhi sazaa hai tumhaare paas
aise bigDe ki phir jafaa bhi na ki
dushmani kaa bhi haq adaa na huaa
taasir-e-barq-e-husn jo un ke sukhan mein thi
ik larzish-e-khafi mire saare badan mein thi
sabhi se jab mohabbat chaahte ho
mohabbat kyon nahin karte sabhi se
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
mohabbat phuul banne par lagi thi
palaT kar phir kali kar li hai main ne
tazkira soz-e-mohabbat kaa kiyaa thaa ik baar
taa-dam-e-marg zabaan se miri chhaale na gae
urdu mein baat kijiye urdu mein boliye
haq hai zabaan kaa pyaar kaa ras is mein gholiye
nai mohabbatein 'khaalid' puraani dostiyaan
azaab-e-kashmakash-e-be-amaan mein rahte hain