Shayari
utar ke niche kabhi mere saath bhi to chalo
buland khiDkiyon se kab talak pukaaroge
tulu hogaa abhi koi aaftaab zarur
dhuaan uThaa hai sar-e-shaam phir charaaghon se
طلوع ہوگا ابھی کوئی آفتاب ضرور
دھواں اٹھا ہے سر شام پھر چراغوں سے
तुलूअ होगा अभी कोई आफ़्ताब ज़रूर
धुआँ उठा है सर-ए-शाम फिर चराग़ों से

utar ke niche kabhi mere saath bhi to chalo
buland khiDkiyon se kab talak pukaaroge
tundi-e-sail-e-vaqt mein ye bhi hai koi zindagi
subh hui to ji uThe, raat hui to mar gae
aao mil baiTh kar hansein bolein
nahin maalum kab judaa ho jaaein
nazar na aai kabhi phir vo gaanv ki gori
agarche mil gae dehaat aa ke shahron se
jo paa liyaa tujhe main khud ko DhunDne niklaa
tumhaare qurb ne bhi zakhm-e-naa-rasaai diyaa
chuDiyaan kyuun utaar diin tum ne
subhein kitni udaas rahti hain
ab hai duaa ye apni har shaam har sahar ko
yaa vo badan se lipTe yaa jaan tan se nikle
uD chalaa vo ik judaa khaaka liye sar mein akelaa
subh kaa pahlaa parinda aasmaan bhar mein akelaa
shaam ko subh se taabir karo tum lekin
aankh vaale to sahar hi ko sahar jaante hain
kyaa khabar thi subh ho jaaegi tere nuur se
shaam se meraa charaagh-e-khaana rukhsat maangtaa
shafaq kaa rang sukun hai sahar ke chehre par
ki gesu-e-shab-e-gham be-qaraar hai ab tak