Shayari
kahne ki to baat nahin hai lekin kahni paDti hai
dil ki nagri mein mat jaanaa jo jaae pachhtaae
us kaa chehraa udaas hai 'maajid'
aaine par nazar gai hogi
اس کا چہرہ اداس ہے ماجدؔ
آئینے پر نظر گئی ہوگی
उस का चेहरा उदास है 'माजिद'
आईने पर नज़र गई होगी

kahne ki to baat nahin hai lekin kahni paDti hai
dil ki nagri mein mat jaanaa jo jaae pachhtaae
logon ne aakaash se unchaa jaa kar tamghe paae
ham ne apnaa antar khojaa divaane kahlaae
kal jo main ne jhaank ke dekhaa us ki niili aankhon mein
us ke dil kaa zakhm to 'maajid' saagar se bhi gahraa hai
'maajid' khudaa ke vaaste kuchh der ke liye
ro lene de akelaa mujhe apne haal par
ye aansu ponchh lijiye aur muskuraaiye
chaara nahin hai koi bhi rukhsat kiye baghair
jab ki pahlu se yaar uThtaa hai
dard be-ikhtiyaar uThtaa hai
gham hai na ab khushi hai na ummid hai na yaas
sab se najaat paae zamaane guzar gae
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
ham haal to kah sakte hain apnaa pa kahein kyaa
jab vo idhar aate hain to tanhaa nahin aate
main ne apni palkon par gham-kade sajaae hain
aarzu ke maatam mein sogvaar hasti hai