Shayari
sankaT ke din the to saae bhi mujh se katraate the
sukh ke din aae to dekho duniyaa mere saath hui
aasthaa kaa rang aa jaae agar maahaul mein
ek raakhi zindagi kaa rukh badal sakti hai aaj
آستھا کا رنگ آ جائے اگر ماحول میں
ایک راکھی زندگی کا رخ بدل سکتی ہے آج
आस्था का रंग आ जाए अगर माहौल में
एक राखी ज़िंदगी का रुख़ बदल सकती है आज

sankaT ke din the to saae bhi mujh se katraate the
sukh ke din aae to dekho duniyaa mere saath hui
har taraf ik jang kaa maahaul hai 'aazam' yahaan
aadmi ab ghar ke bhi andar salaamat hai kahaan
duniyaa ki ik riit puraani, milnaa aur bichhaDnaa hai
ek zamaana biit gayaa hai tum kab milne aaoge
teri khushbu se moattar hai zamaana saaraa
kaise mumkin hai vo khushbu bhi gulaabon mein mile
kisi ki baat koi bad-gumaan na samjhegaa
zamin kaa dard kabhi aasmaan na samjhegaa
gesu o rukhsaar ki baatein karein
aao mil kar pyaar ki baatein karein
kam-umri mein sunet hain
mar jaate hain achchhe log
afsos umr kaT gai ranj-o-malaal mein
dekhaa na khvaab mein bhi jo kuchh thaa khayaal mein
main tujh se saath bhi to umar bhar kaa chaahtaa thaa
so ab tujh se gilaa bhi umar bhar kaa ho gayaa hai
zindagi tu bhi hamein vaise hi ik roz guzaar
jis tarah ham tujhe barson se guzaare hue hain
bas ek pal ki tamannaa-e-vasl ki khaatir
tamaam 'umr lagaa di gai sanvarne mein
meri saari zindagi ko be-samar us ne kiyaa
umr meri thi magar us ko basar us ne kiyaa