Shayari
qaazi ko jo rind kuchh chaTaa dein
masjid ki baghal mein mai-kada ho
I
Imdad Ali Bahrkhvaahish-e-didaar mein aankhein bhi hain meri raqib
saat pardon mein chhupaa rakkhaa hai us ke nuur ko
خواہش دیدار میں آنکھیں بھی ہیں میری رقیب
سات پردوں میں چھپا رکھا ہے اس کے نور کو
ख़्वाहिश-ए-दीदार में आँखें भी हैं मेरी रक़ीब
सात पर्दों में छुपा रक्खा है उस के नूर को
qaazi ko jo rind kuchh chaTaa dein
masjid ki baghal mein mai-kada ho
khush raho yaar agar ham se ho bezaar bahut
dil agar apnaa salaamat hai to dildaar bahut
mire qatl par tum ne biiDaa uThaayaa
mire haath kaa paan khaayaa to hotaa
ham na kahte the hansi achchhi nahin
aa gai aakhir rukaavaT dekhiye
mire baghair na ik-dam use qaraar aataa
zaraa bhi zabt jo mujh be-qaraar mein hotaa
sau fasaad ek ishq mein uTThe
boyaa ik tukhm uge hazaar darakht
miri tamannaa hai ab ke tum phir milo to ji bhar ke muskuraaein
ki dekhnaa hai ye raushni kaa safar bahut der baa'd jaa kar
bas ek pal ki tamannaa-e-vasl ki khaatir
tamaam 'umr lagaa di gai sanvarne mein
ik tarz-e-taghaaful hai so vo un ko mubaarak
ik arz-e-tamannaa hai so ham karte raheinge
nahin nigaah mein manzil to justuju hi sahi
nahin visaal mayassar to aarzu hi sahi
ye aarzu bhi baDi chiiz hai magar hamdam
visaal-e-yaar faqat aarzu ki baat nahin
yaar pahlu mein hai tanhaai hai kah do nikle
aaj kyuun dil mein chhupi baiThi hai hasrat meri