Shayari
vo kisi ko yaad kar ke muskuraayaa thaa udhar
aur main naadaan ye samjhaa ki vo meraa huaa
sochtaa huun tiri tasvir dikhaa duun us ko
raushni ne kabhi saaya nahin dekhaa apnaa
سوچتا ہوں تری تصویر دکھا دوں اس کو
روشنی نے کبھی سایہ نہیں دیکھا اپنا
सोचता हूँ तिरी तस्वीर दिखा दूँ उस को
रौशनी ने कभी साया नहीं देखा अपना

vo kisi ko yaad kar ke muskuraayaa thaa udhar
aur main naadaan ye samjhaa ki vo meraa huaa
aaj phir niind ko aankhon se bichhaDte dekhaa
aaj phir yaad koi choT puraani aai
muddaton baa'd mayassar huaa maan kaa aanchal
muddaton baa'd hamein niind suhaani aai
na jaane kitne charaaghon ko mil gai shohrat
ik aaftaab ke be-vaqt Duub jaane se
'azim log the TuuTe to ik vaqaar ke saath
kisi se kuchh na kahaa bas udaas rahne lage
suno samundar ki shokh lahro havaaein Thahri hain tum bhi Thahro
vo duur saahil pe ek bachcha abhi gharaunde banaa rahaa hai
jinhein ye fikr nahin sar rahe rahe na rahe
vo sach hi kahte hain jab bolne pe aate hain
vo na aaegaa hamein maalum thaa is shaam bhi
intizaar us kaa magar kuchh soch kar karte rahe
maango samundaron se na saahil ki bhiik tum
haan fikr o fan ke vaaste gahraai maang lo
gulaabon ke honTon pe lab rakh rahaa huun
use der tak sochnaa chaahtaa huun
dekho to lagtaa hai jaise dekhaa thaa
socho to phir naam nahin yaad aate hain
ek din to dil ko bhi tarjih de kar dekh luun
aql se kah do ki mujh ko aaj tanhaa chhoD de