Shayari
ab ham bhi sochte hain ki baazaar garm hai
apnaa zamir bech ke duniyaa kharid lein
koi rauzan hi zindaan mein nahin hai
chalo fursat mili fikr-e-sahar se
کوئی روزن ہی زنداں میں نہیں ہے
چلو فرصت ملی فکر سحر سے
कोई रौज़न ही ज़िंदाँ में नहीं है
चलो फ़ुर्सत मिली फ़िक्र-ए-सहर से

ab ham bhi sochte hain ki baazaar garm hai
apnaa zamir bech ke duniyaa kharid lein
ai ahl-e-vafaa daad-e-jafaa kyuun nahin dete
soe hue zakhmon ko jagaa kyuun nahin dete
junun ko hosh kahaan ehtimaam-e-ghaarat kaa
fasaad jo bhi jahaan mein huaa khirad se huaa
manzil to khush-nasibon mein taqsim ho chuki
kuchh khush-khayaal log abhi tak safar mein hain
jab ghar ki aag bujhi to kuchh saamaan bachaa thaa jalne se
so vo bhi un ke haath lagaa jo aag bujhaane aae the
guftugu nazr-e-ehtiyaat hui
qabl is ke ki ibtidaa karte
vo na aaegaa hamein maalum thaa is shaam bhi
intizaar us kaa magar kuchh soch kar karte rahe
jinhein ye fikr nahin sar rahe rahe na rahe
vo sach hi kahte hain jab bolne pe aate hain
bagulaa jin ke sar par chatr-e-shaahi hai zamin masnad
vahi aqlim-e-gham mein aah ki naubat bajaate hain
gulaabon ke honTon pe lab rakh rahaa huun
use der tak sochnaa chaahtaa huun
azaab-e-daanish-e-haazir se baa-khabar huun main
ki main is aag mein Daalaa gayaa huun misl-e-khalil
us ke rukhsaar pe hai aur tire honT pe til
tilmilaane ki ijaazat nahin di jaaegi