Shayari
laDkiyaan maaon jaise muqaddar kyuun rakhti hain
tan sahraa aur aankh samundar kyuun rakhti hain
shaam ko teraa hans kar milnaa
din bhar ki ujrat hoti hai
شام کو تیرا ہنس کر ملنا
دن بھر کی اجرت ہوتی ہے
शाम को तेरा हँस कर मिलना
दिन भर की उजरत होती है

laDkiyaan maaon jaise muqaddar kyuun rakhti hain
tan sahraa aur aankh samundar kyuun rakhti hain
akele ghar mein bhari dopahar kaa sannaaTaa
vahi sukun vahi umr bhar kaa sannaaTaa
teraa naam likhti hain ungliyaan khalaaon mein
ye bhi ik duaa hogi vasl ki duaaon mein
ye aur baat ki kam-hausla to main bhi thi
magar ye sach hai use pahle main ne chaahaa thaa
apni aag ko zinda rakhnaa kitnaa mushkil hai
patthar biich aaina rakhnaa kitnaa mushkil hai
bhuuk se yaa vabaa se marnaa hai
faisla aadmi ko karnaa hai
vo na aaegaa hamein maalum thaa is shaam bhi
intizaar us kaa magar kuchh soch kar karte rahe
maarka garm to ho lene do khun-rezi kaa
pahle shamshir ke niche hamin jaa baiTheinge
ghazal mein jab talak ehsaas ki shiddat na ho shaamil
faqat alfaaz ki kaarigari mahsus hoti hai
vasl ki raat ke sivaa koi shaam
saath le kar sahar nahin aati
zindagi phaili hui thi shaam-e-hijraan ki tarah
kis ko itnaa hausla thaa kaun ji kar dekhtaa
shaam ke tiir se zakhmi hai 'khurshid' kaa siina
nuur simaT kar surkh kabutar ban jaataa hai