Shayari
arsa-e-zulmat-e-hayaat kaTe
ham-nafas muskuraa ki raat kaTe
uTThi thi pahli baar jidhar chashm-e-aarzu
vo log phir mile na vo basti nazar paDi
اٹھی تھی پہلی بار جدھر چشم آرزو
وہ لوگ پھر ملے نہ وہ بستی نظر پڑی
उट्ठी थी पहली बार जिधर चश्म-ए-आरज़ू
वो लोग फिर मिले न वो बस्ती नज़र पड़ी

arsa-e-zulmat-e-hayaat kaTe
ham-nafas muskuraa ki raat kaTe
tujhe bhi dekh liyaa ham ne o khudaa-e-ajal
ki teraa zor chalaa bhi to ahl-e-gham pe chalaa
jab bhi dekhi hai kisi chehre pe ik taaza bahaar
dekh kar main tiri tasvir puraani royaa
ai vatan jab bhi sar-e-dasht koi phuul khilaa
dekh kar tere shahidon ki nishaani royaa
aapas ki guftugu mein bhi kaTne lagi zabaan
ab doston se tark-e-mulaaqaat chaahiye
ik umr bhaTakte hue guzri hai junun mein
ab kaun fareb-e-nigah-e-yaar mein aae
miri tamannaa hai ab ke tum phir milo to ji bhar ke muskuraaein
ki dekhnaa hai ye raushni kaa safar bahut der baa'd jaa kar
jaada-e-gham mein aarzu ke sivaa
ham-safar dusraa nahin hotaa
zindagi ki hansi uDaati hui
khvaahish-e-marg sar uThaati hui
kuchh is liye bhi tiri aarzu nahin hai mujhe
main chaahtaa huun miraa ishq jaavedaani ho
ab ye khvaahish hai karein log hamaari ghibat
phail jaaein tiri galiyon mein khabar ki surat
bas ek pal ki tamannaa-e-vasl ki khaatir
tamaam 'umr lagaa di gai sanvarne mein