Shayari
dil pe kuchh aur guzarti hai magar kyaa kiije
lafz kuchh aur hi izhaar kiye jaate hain
apne diye ko chaand bataane ke vaaste
basti kaa har charaagh bujhaanaa paDaa hamein
اپنے دیئے کو چاند بتانے کے واسطے
بستی کا ہر چراغ بجھانا پڑا ہمیں
अपने दिए को चाँद बताने के वास्ते
बस्ती का हर चराग़ बुझाना पड़ा हमें

dil pe kuchh aur guzarti hai magar kyaa kiije
lafz kuchh aur hi izhaar kiye jaate hain
barg bhar baar mohabbat kaa uThaayaa kab thaa
tum ne siine mein koi dard basaayaa kab thaa
ham ki hain naqsh sar-e-reg-e-ravaank kyaa jaane
kab koi mauj-e-havaa apnaa nishaan le jaae
raasta sochte rahne se kidhar bantaa hai
sar mein saudaa ho to divaar mein dar bantaa hai
tumhaaraa kyaa tumhein aasaan bahut raste badalnaa hai
hamein har ek mausam qaafile ke saath chalnaa hai
raasta aage bhi le jaataa nahin
lauT kar jaanaa bhi mushkil ho gayaa
kyon tasavvur mein ji rahaa huun main
jab haqiqat mein mar hi jaanaa hai
apni anaa ki aaj bhi taskin ham ne ki
ji bhar ke us ke husn ki tauhin ham ne ki
vo kuchh muskuraanaa vo kuchh jheinp jaanaa
javaani adaaein sikhaati hain kyaa kyaa
ham ne maanaa ki taghaaful na karoge lekin
khaak ho jaaeinge ham tum ko khabar hote tak
be-khudi be-sabab nahin 'ghaalib'
kuchh to hai jis ki parda-daari hai
khud ko kabhi na dekhaa aaine hi ko dekhaa
ham se to kyaa ki khud se naa-aashnaa rahaa hai