Shayari
aaj hai vo bahaar kaa mausam
phuul toDun to haath jaam aae
be-piye chain nahin hosh nahin jaan nahin
shauq kaahe ko maraz hai mujhe mai-khvaari kaa
بے پیے چین نہیں ہوش نہیں جان نہیں
شوق کاہے کو مرض ہے مجھے مے خواری کا
बे-पिए चैन नहीं होश नहीं जान नहीं
शौक़ काहे को मरज़ है मुझे मय-ख़्वारी का

aaj hai vo bahaar kaa mausam
phuul toDun to haath jaam aae
pyaari surat vo haae kyaa hogi
jis ko be-dekhe pyaar aataa hai
sote mein vo jo mujh se ham-aaghosh ho gae
jitne gile the khvaab-e-faraamosh ho gae
tazkira soz-e-mohabbat kaa kiyaa thaa ik baar
taa-dam-e-marg zabaan se miri chhaale na gae
mohabbat ek taraf se mazaa nahin deti
kuchh iztiraab tujhe ho kuchh iztiraab mujhe
jo tire ishq mein tabaah huaa
koi us ko tabaah kar na sakaa
kyon tasavvur mein ji rahaa huun main
jab haqiqat mein mar hi jaanaa hai
shaahraahein dafatan shoale ugalne lag gaiin
ghar ki jaanib chal paDaa hai shahr gheraa kar tamaam
ijz-o-niyaaz apnaa apni taraf hai saaraa
is musht-e-khaak ko ham masjud jaante hain
na jaane us ne khule aasmaan mein kyaa dekhaa
parinda phir se jahaan-e-qafas mein lauT aayaa
vo kuchh muskuraanaa vo kuchh jheinp jaanaa
javaani adaaein sikhaati hain kyaa kyaa
sab ke honTon pe munavvar hain hamaare qisse
aur ham apni kahaani bhi nahin jaante hain