Shayari
aaj hai vo bahaar kaa mausam
phuul toDun to haath jaam aae
donon zaalim hain farq itnaa hai
aasmaan piir hai javaan tu hai
شباب ہو کہ نہ ہو حسن یار باقی ہے
یہاں کوئی بھی ہو موسم بہار باقی ہے
दोनों ज़ालिम हैं फ़र्क़ इतना है
आसमाँ पीर है जवाँ तू है

aaj hai vo bahaar kaa mausam
phuul toDun to haath jaam aae
pyaari surat vo haae kyaa hogi
jis ko be-dekhe pyaar aataa hai
sote mein vo jo mujh se ham-aaghosh ho gae
jitne gile the khvaab-e-faraamosh ho gae
tazkira soz-e-mohabbat kaa kiyaa thaa ik baar
taa-dam-e-marg zabaan se miri chhaale na gae
mohabbat ek taraf se mazaa nahin deti
kuchh iztiraab tujhe ho kuchh iztiraab mujhe
jo tire ishq mein tabaah huaa
koi us ko tabaah kar na sakaa
jab ki pahlu se yaar uThtaa hai
dard be-ikhtiyaar uThtaa hai
yaar bhi raah ki divaar samajhte hain mujhe
main samajhtaa thaa mire yaar samajhte hain mujhe
barseingi aaj rahmatein aamad hai yaar ki
naayaab hain ye ghaDiyaan tire intizaar ki
har lamha maangte hain duaa did-e-yaar ki
yaad-e-butaan bhi dil mein hai yaad-e-khudaa ke saath
dushmanon ko dost bhaai ko sitamgar kah diyaa
log kyuun barham hain kyaa shishe ko patthar kah diyaa
bhaTkaa phire hai majnun lailaa ke qaafile mein
ye puchhtaa ki yaaro mahmil kidhar gayaa hai