Shayari
aaj hai vo bahaar kaa mausam
phuul toDun to haath jaam aae
hamaari be-khudi kaa haal vo puchhein to ai qaasid
ye kahnaa hosh itnaa hai ki tum ko yaad karte hain
ہماری بے خودی کا حال وہ پوچھیں تو اے قاصد
یہ کہنا ہوش اتنا ہے کہ تم کو یاد کرتے ہیں
हमारी बे-ख़ुदी का हाल वो पूछें तो ऐ क़ासिद
ये कहना होश इतना है कि तुम को याद करते हैं

aaj hai vo bahaar kaa mausam
phuul toDun to haath jaam aae
pyaari surat vo haae kyaa hogi
jis ko be-dekhe pyaar aataa hai
sote mein vo jo mujh se ham-aaghosh ho gae
jitne gile the khvaab-e-faraamosh ho gae
tazkira soz-e-mohabbat kaa kiyaa thaa ik baar
taa-dam-e-marg zabaan se miri chhaale na gae
mohabbat ek taraf se mazaa nahin deti
kuchh iztiraab tujhe ho kuchh iztiraab mujhe
jo tire ishq mein tabaah huaa
koi us ko tabaah kar na sakaa
mere khvaabon ke jharokon ko sajaate rahiye
na sahi vasl magar yaad to aate rahiye
sab ko ham bhuul gae josh-e-junun mein lekin
ik tiri yaad thi aisi jo bhulaai na gai
is se ziyaada daur-e-junun ki khabar nahin
kuchh be-khabar se aap the kuchh be-khabar se ham
teri yaadon ki chamakti hui mashal ke sivaa
meri aankhon mein koi aur ujaalaa hi nahin
vo ek aaina chehre ki baat kartaa hai
vo ek aaina patthar se hai ziyaada kyaa
aap se yaad aap ki achchhi
aap to ham ko bhuul jaate hain