Shayari
aaj hai vo bahaar kaa mausam
phuul toDun to haath jaam aae
ho hari shaakh-e-tamannaa yaa na ho
sinch denaa chashm-e-tar kaa kaam hai
تو نے او بے وفا کیا جاتی دنیا دیکھ لی
راہ پر آنے لگا عہد وفا ہونے لگے
हो हरी शाख़-ए-तमन्ना या न हो
सींच देना चश्म-ए-तर का काम है

aaj hai vo bahaar kaa mausam
phuul toDun to haath jaam aae
pyaari surat vo haae kyaa hogi
jis ko be-dekhe pyaar aataa hai
sote mein vo jo mujh se ham-aaghosh ho gae
jitne gile the khvaab-e-faraamosh ho gae
tazkira soz-e-mohabbat kaa kiyaa thaa ik baar
taa-dam-e-marg zabaan se miri chhaale na gae
mohabbat ek taraf se mazaa nahin deti
kuchh iztiraab tujhe ho kuchh iztiraab mujhe
jo tire ishq mein tabaah huaa
koi us ko tabaah kar na sakaa
kahte nahin hain haal kisi raazdaan se ham
vaaqif hue hain jab se fareb-e-jahaan se ham
vo jaantaa hai magar bevafaa nahin kahtaa
ab us ki maslihatein kyaa bataaein dukh ki hain
har ik surat pe dhokaa khaa rahi hain teri surat kaa
abhi aataa nahin nazron ko taa-hadd-e-nazar jaanaa
us bevafaa pe marne ko aamaada dil nahin
lekin vafaa ki zid hai ki mar jaanaa chaahiye
muqaddar se mire donon ke donon bevafaa nikle
na umr-e-bevafaa palTi na phir jaa kar shabaab aayaa
nigaah-e-naaz ki maasumiyat are tauba
jo ham fareb na khaate to aur kyaa karte